
Pehle bhi mile the kya hum kabhi,
Aakhir jaani pehchaani si kyu lagti baatein abhi.
Waise zindagi thi badi gumsum si,
Kyu khamoshi bhi lagti anjaani si abhi.
Ghabraati thi dhaago se ki naazuk se hai ye,
Lekin ulajhna chahu aajkal kaisi ajeeb baat hai ye.
Ek tarfe jazbaat mei pyaar hota hai aisa,
Tumhara aur mera ye silsila hai kaisa?
Jaayaz hai kya ummeed tumse rakhna,
Iss sawaal ka jawaab itna mushkil kyu hai paana?
Door se bhi kareebi ka ehsaas kyu hota hai,
Sirf tumse hi dil har ummeed kyu rakhta hai?
-Prabha
Follow Prabha On
Stck Reader Prabha's stories, at your fingertips as soon as they are published
Ek Tarfa
Pehle bhi mile the kya hum kabhi,
Delightful Reading Experience
Experience stories by Prabha in a whole new light
Good evening
Prabha Me Liya
One Home for All Purchases
Pick up stories where you left off and discover new stories
Write a comment ...